Friday, October 5, 2018

Audio clip sun k paise kamaye/transcription work

Audio clip sun k paise kamaye 

       
Audio clip sun k paise kamaye Hello dosto kese ho sab umid karta hu sab thik hoge. Dosto aj main apko btauga ki audio clip sun k ap ghanto k hisab se paise kama sakte hai vo bhi bohat asani se. Ap lagbhag har roz k 15$ se 30$ asni se kama sakte hai.
Audio clip sun k paise kamaye/transcription work

Apne kai saari esi website dakhi hogi jisme apko mehnat jada karni padti hai or apko paise bohat kam milti hai par aj main apko 5 esi website btauga ki jisme apko mehnat kam or paise jada milege to chaliya dakhte hai konsi hai vo website ho usme kese or kya kaam karna hai.

Audio clip sun k paise kamaye

Dosto jo aj main apko website batane ja raha hu us website se bohat se log paise kama rahe hai or ap bhi kama sakte hai. Audio sun k paise kamaye apko sayad sun k ajeeb lag sakta hai ki koi esa kyu karega ya koi audio sun k usko trasltran kar k humko paise kyu dega. Par dosto jo site me btauga apko uski rating google me check kar sakte hai or kaam kar sakte hai. Is kaam ko ko transcription work bhi bola jata hai.
Jo website me apko btane ja raha hu apko usme signup karna hoga or ho sakta hai apka test bhi liya jaye chota sa test hoga jisko agar ap pass kar loge to apko aage work milega. Audio clip lagbhag 1 se 2 min ki he hogi us se jada nahi. To chaliye dakh lete hai konsi hai vo websites or usme kya kya kaam hoga.

Websites 

Ye 5 websites hai jisme apko kaam karna hai. Ab is websites me 2 tarha ke log hote hai ek jo kaam dete hai ek hum jo kaam lete hai ya karte hai. Ho sakta hai jo kaam le raha uski demand transcription ki jagha kuch or ho for example: jo kam de raha hai vo apse transcription, app review, site reviews,video review, app testing, site visiting jese kaam karne ko bol sakta hai. Jitne apke profile pe star hoge utni apki ranking badegi or usse dakh k utne apko pass work aayega jis ko kar k ap paise kama sakte hai.


Final words 
Audio sun k paise kamaye agar apko ye kam acha lagta hai ya ap ye kaam suru karna chate hai to suru karne se pehle research jarur kare. Or agar apko ye artical acha lage to dosto sath share karna na bhule or agar apke mann me koi sawal hai to comment jarur kare
Thanks for reading

Sunday, September 30, 2018

Fast Adsense approvel tips and tricks 2019[hindi]

Fast Adsense approvel tips and tricks 2019[hindi]


Fast Adsense approvel tips and tricks 2019:- Hello friends ek baar fir se apka sawagat hai ap sabke blog main. Aj main ap sabko btauga ki fast Adsense approvel kese liya jata hai vo bhi bohat he aasani k sath. Kai baar esa hota hai ki hum blog bana to lete hai par humko Adsense approvel lene me dikkat aati hai jese ki suru k dino me mujhe bhi i thi. Aj main is artical me apko btauga ki fast Adsense approvel kese liya jata hai To chaliye suru karte hai.
Fast Adsense approvel tips and tricks 2019[hindi]

Agar ap ek naye blogger hai or apne abhi abhi apna blog bnaya hai to apke mann me ye sawal rehta hai ki blog mene bana liya or itni mehnat bhi kar raha hu ab kisi tarha mere ko fast Adsense approvel bhi mil jaye par jaldi jaldi k chakar me hum sab khrab kar lete hai or humko Adsense approvel lene me dikkat hoti hai.
Niche diye gaye ye kuch points hai agar ap iske mutabik chalte hai to apko Adsense approvel lene se koi nahi rok sakta.

Also read:



Fast Adsense approvel tips and tricks 2019[hindi]

Important points

1:- Posts agar ap apne blog main fast Adsense approvel lena chate hai to apke blog me kam se kam 20 artical hone he chiye is se google ko lagta hai ki jiska blog hai vo insaan mehnat kar raha hai or isko approvel dena chiye. Apne dakha hoga kai baar log kehte hai ki humara 6 artical me approvel ho gya ya 10 artical me approvel mil gya par agar dosto ap pehle he shot me approvel lena chate hai to kam se kam 20 post honi he chiye.

2:- Original contant dosto apko is baar ka dhyaan rakhna hai ap koi bhi post likh rahe hai to vo contant apka khud ka hona chiye apko kahi se copy paste nahi karna hai. Ho sakta hai ap kahi se news sun k ya dakh ap post likh rahe hai par apko dhyaan rakhna hai ki ap apni language me likhe jis se logo ko samaja ne me asni ho.

3:- Post length apko post length ka bhi khas khyaal rakhna hoga. Jo 20 artical ap likhoge fast Adsense approvel lene k liye un 20 artical ki length kam se kam 700 se 1000 words ki honi chiye is baat ka khyaal apko khas rakhna hai.

4:- Seo friendly theme ap jab bhi apna blog banaye apko is baat ka bhi khyaal rakhna hai ki apki theme seo friendly ho jo mobile main bhi chalti ho or pc main bhi or laptop main bhi. Jab koi apki site me visit kare to usko samaj aana chiye ki kya post hai kya heading hai apki theme achi honi chiye taki sabko samaj aa sake.

5:- About us, privacy policy ,contact us or disclaimer apko ye 4 page banane he banane hai agar ap ye page nahi banaye gaye  to apka adsense kabhi bhi approvel nahi hoga chahe ap 100 baar try kar le. Ye 4 page ap bohat asani se bana sakte hai kuch online tools hai jiski madad se ap ye 4 page asani se bana loge agar apko jaan na hai ki konsa tool hai to pls comment section me comment kare.

Final words
Agar ap ye 5 step follow karte hai to apko 100% fast Adsense approvel milega he milega agar apko fir bhi koi dikkat aati hai to ap comment section me comment kar k puch sakte hai  main apke har ek sawal ka jawab duga or apko  fast adsense approvel lene me madad karuga.
Thanks

Tuesday, September 11, 2018

How to run exe file on android/ android main exe file kese run kare

How to run exe file on android/ android main exe file kese run kare


How to run exe file on android:- Hello dosto pichle artical main mene apko btaya tha ki ap android mobile me window kese run kar sakte hai. Or aj main apko btane ja raha hu ki ap apne mobile me computer exe file kese run kar sakte hai.
How to run exe file on android/ android main exe file kese run kare

Exe file run karne ka tarika

Sabse pehle apko apne mobile k browser me ja k wine exe type karna hoga or jo second number pe apko site dikh rahi hai uspe click karna hai uske baad apko apko niche download ka option dikhai dega. Download ko click karne k baad apko android select karna hai. Ab apko bohat sare download version nazar aayege apko sabse latest verson he download karna hai.

Ab apko latest version k bhi 2 apk nazar aayege agar apke mobile main intel processer hai to apko x36 vali apk file download karni hogi or agar apke mobile snapdragon ya mediatek pa processer hai to apko arm vali file download karni hogi. Ab apko download ki hui file ko open karna hai.

Ab apki app open hone k baad command window open ho jayegi. Is app me apko keyboard ki jarurat padegi  or ap mobile k internal keypad ko use nahi kar payege is vajah se apko kuch alag se app download karne padege.

Sabse pehli app jo apko download karni hai uska naam hai screen rotation kyuki ye app apko landscape  mode me app use karne ka moka degi or dusri app jo apko download karni hai vo hai clavis keyboard free ab apko ek or app download karni hai jiska naam hai showkey ye apko play store me nahi milegi apko google se download karna hoga. Is ap ka use ye hai ki ap kahi bhi keyboard open kar sakte hai. Sabhi apps ki image niche di gayi hai.


Showkey download karne k liye Click here yaha click kare 

Ab apko wine app open karna hai wine app open karne k baad apko apko notification se screen rotation open kar k portrait mode ko select kar lena hai ab apko fir se nofification ko slide karna hai or showkey app pe click karna hai. Ab apko command me type karna hai "winecfg" and hit enter. Ab apko ek new window open ho jayegi ab ap dakhegi ki jo window ka size hai vo bada hai isi liye humko ek setting karni hai.

Ab apko graphics me jana hai yaha apko screen resolution main 480dpi dikh raha hoga usko apko kam kar k 250 ya 260 kar dena hai or enter kar dena hai. Ab apko fir command me "winecfg" type ke k enter karna hai ab ap dakhege scree resolution mobile me fit aa raha hai. Ab apko wine app ko close kar dena hai or mobile ki setting me ja k mobile screen rotation ko ko force close kar dena hai. ab apko mobile auto rotate kar dena hai or wine app ko open karna hai ab ap dakhege ki wine app landscape mode me khul rahi hai or pura mobile me fit aa rahi hai.

Ab apko jo exe file run karni hai usko download kar ke mobile me save kar leni hai or ek folder me rakh lena hai jisme apko yaad rahe. Ab wine app k left corner me start pe click karna hai or run pe click karna hai or browse file pe click kar k jaha apne file rahi hai usko select kar lena hai.

Ap lag bhag sabhi exe file run kar sakte hai or apne mobile ko ko computer bana sakte hai

How to run exe file on android/ android main exe file kese run kare

----------------------------------------------------------

Saturday, July 21, 2018

MAKE ANDROID GAMES WITHOUT CODING

Make android games without coding


INTRO

Game banana sach me ek mushkil kam hai bohat saari coding, bohat sare frame works, bohat saare graphics. Esa apne kayi baar suna hoga or log in sab app se kafi paise bhi kama rahe hai.
To agar me aj apko btau ki me aj apko game bnana sikhauga vo bhi bina coding k sayad ye baat apko ajib lage par ye baat sachi hai ji ha bina coding ke or ap bhi ghar bath k paise kama sakte hai apni game bana ke or bech ke.

To Aj hum apko sikhne wale hain temple run game wo bhi thunkable pe, ye bohat hi easy hai or is se aap achi earning kar sakte ho. Or isme apko kisi tarha ki koi block coding karne ki jarurat nahi hai. Isme game banane k liye apko sirf ek link chiye agar apko vo link mil jata hai to aap bohat type k game bna sakte ho chahe wo candy crush ho, subway surfers ho, koi b game aasani se


bna sakte ho thunkable pe or apne dosto k sath share kar k bol sakte Ye same cheez ap Appy Builder pe bhi bna sakte hain thunkable ki tarah ye appy builder ka platform hai jaha par aap application bna sakte hain par isme apko kuch extra features mil jaate hain jab aap us app ko use karenge to apko un extra features ka pta chal jayega. To ab mai apko btaunga k isko kaise banana hai.

How to make free android game


Sabse pehle Apko thunkable kholna hoga or screen 1 khulegi aap ek or screen2 bana lijiye
taki ap 1 screen pe ad laga sake.
To sabse pehle ap screen2 ko khol lijiye
or simple  game chalane k lia apko user interface pe click karna hoga or niche aa rahe options me se web viewer ko utha k screen 2 pe rakhna hoga.
Web viewer se hi game chalega matlab ye game internet se hi chalega. Web viewer lene k baad apko right column me home URL bharna hai. URL se hi game run hogi. Kisi bhi game ka link lene k lia bohat saare online websites hain jaha par game available hai waha par log apni game ka link dete hain jisko aap use kar sakte ho. Mai apko ek example batata hu jaise ki A10.com.
A10.com ek website hai jaha aapko bohat saare games milenge or unke link bhi mil jayenge jo aap URL me daal sakte ho. Jaise agar apko temple run karna hai to uska yaha naam hai tomb runner. Jab aap search box me tomb likhenge to waha tomb runner game ka option aayega usko click karo to game waha khulne lag jayega usko khulne dena hai. Apko link lene k lia uske page source pe jana hai waha unka add aayega par app me nahi aayega ye unki website ka add hai. Loading hone k kuch der baad hi game khul jayega. Waha apko right click karna hai or view page source pe jana hai or aap page source pe aa jaoge.
Search karne k lia aap ctrlA press karoge to search main 'iframe' likhna hoga. Iframe likh ke enter click karoge to source k beech me jo bhi link hota hai us hi link ko nikalna hota hai par tomb runner k lia apko 'iframe' nahi likhna hai. Apko likhna hai "http://files.cdn.spilcloud.", jab aap ye likhoge to ye jo link hai jaha jaha use kiya hoga waha highlight ho jayega. Page source me ye link har jagah highlight ho jayega. Aap dekhe waha uska jpeg use kiya hoga but apko link chaiye jis se ye game chale. Apko page k sabse niche jana hoga or dekhe waha link dia hoga waha bhi highlighted hoga. Aap page k sabse niche jayenge to apko link milega "http:files.cdn.spilcloud.com/webg1/TR-13-01/index.html". Is link ko copy karna hai or thunkable k home URL me isko paste kar dena hai. Ye link apko page source k 827 line k paas milega. Ab jab aap thunkable k home URL me isko daaloge uske baad upar aa rahe export option ko click karna hai or .apk me convert karna hai to apka game bann jayega. Aap kisi ko bhi doge to ye game khelne layak ho gya hai or koi bhi isko aasani se khel sakta hai aap me.

How to earn

Ab earning karne ka tarika hai k apko screen 1 pe jana hai or experimental me jaakar AdMob banner lga do. Jitna apka mann hai utne banner lga sakte ho. Ab screen 1 pe apko jana hai blocks me or waha se apko when screen1 initialize ka block lena hai uske baad aap ctrl me jayenge or open another screen screenName ka block le lo or jo bhi apke screen ka naam hai jaise screen 2 hai usko apko open karna hai or usko screenName wale block
k aage likh do screen ka naam jaise ki screen 2. Ab jaise hi screen khulega to apko thodi der ka timer lagana hoga jis se apka add show ho. Timer lagane k lia
apko sensors me jaake clock leni hogi jisme apko timer interval dalna
hoga. Aap timer interval 5000 ms kar sakte ho jo ki 5 second hota hai
or apka screen2 5 seconds k baad hi khulna chaiye to aap screen 1 me jaakar open another screenName wale block ko when clock1 timer wale block me lga sakte ho jaise hi 5 second ho jayenge to ye screen 2 pe aa jayega to waha aap time always fires ko hata dena or time enabled rehne dena or 5 second tak jo bhi add ayenge usko hata dena aap. 5 second baad apka screen 2 khul jayega kyuki screen 2 pe apne URL diya hai game ka jo game khud chalne lagega agar internet ka connection hoga. Aap screen 2 pe bhi add lga sakte ho apko experimental me jaake add lagana hoga. To maine apko bataya hai k tomb runner jisko aap temple run kehte ho usko aap kaise bna sakte ho.
To umid karta hu apko mera ye artical acha laga hoga. Agar acha laga to pls isko apne dosto k sath share kijiye.

Thanks

Thursday, July 12, 2018

MAKE MONEY FROM PHOTOS

 Make money from photos


Dosto apne kayi baar esa websites dekhi hogi jisme apko kuch karne ki kuch paise milte hai ap usme din raat mehnat karte hai fir bhi ap utna paisa nahi kama sakte ki us se ap apna ek recharge bhi karwa paye.

Par aj me apko 5 aasi websites batane ja raha hu jisme apko sirf photo post karne k paise milege vo bhi kafi paise.
To chaliye jaan lete hai vo 5 websites konsi hai or un websites me karna kya hai

1:- DREAMSTIME
2:-123RF
3:-CRESTOCK
4:-FOTOLIA
5:-GETTYIMAGES
BONUS:-SNAPWIRE(APP)

In sabhi websites me sirf apko itna karna hai ki apko apni click ki hui photos ko upload katna hai or agar apki photo koi buy karta hai to apko kuch % milta jo ki kafi acha hota. To ap bhi in websites ka use karke paise kama sakte ho or agar achi lage to dosto ko bhi bata sakte ho.

Note:- use only your photos either your account will be ban for forever.
And if you use your mobile to take photos than it must be 5mp camera or above.